jab bahaar aai to sahra ki taraf chal nikla
jab bahār aa.ī to sahrā kī taraf chal niklā
sehn-e-gul chhoḌ gayā dil mirā pāgal niklā
jab use DhūñDne nikle to nishāñ tak na milā
dil meñ maujūd rahā āñkhoñ se ojhal niklā
ik mulāqāt thī jo dil ko sadā yaad rahī
ham jise 'umr samajhte the vo ik pal niklā
vo jo afsāna-e-ġham sun ke hañsā karte the
itnā ro.e haiñ ki sab aañkh kā kājal niklā
ham sukūñ DhūñDne nikle to pareshān rahe
shahr to shahr hai jangal bhī na jangal niklā
kaun 'ayyūb' pareshān hai tārīkī meñ
chāñd aflāk pe dil siine meñ be-kal niklā
jab bahaar aai to sahra ki taraf chal nikla
sehn-e-gul chhoD gaya dil mera pagal nikla
jab use DhunDne nikle to nishan tak na mila
dil mein maujud raha aankhon se ojhal nikla
ek mulaqat thi jo dil ko sada yaad rahi
hum jise 'umr samajhte the wo ek pal nikla
wo jo afsana-e-gham sun ke hansa karte the
itna roe hain ki sab aankh ka kajal nikla
hum sukun DhunDne nikle to pareshan rahe
shahr to shahr hai jangal bhi na jangal nikla
kaun 'ayyub' pareshan hai tariki mein
chand aflak pe dil sine mein be-kal nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.