zaKHm-e-tanhai mein KHushbu-e-hina kis ki thi
zaḳhm-e-tanhā.ī meñ ḳhushbū-e-hinā kis kī thī
saaya dīvār pe merā thā sadā kis kī thī
āñsuoñ se hī sahī bhar gayā dāman merā
haath to maiñ ne uThā.e the du'ā kis kī thī
vaqt kī tarh dabe paaoñ ye kaun aayā thā
maiñ añdherā jise samjhā vo qabā kis kī thī
merī aahoñ kī zabāñ koī samajhtā kaise
zindagī itnī dukhī mere sivā kis kī thī
us kī raftār se lipTī rahīñ merī āñkheñ
us ne muḌ kar bhī na dekhā ki vafā kis kī thī
aag se dostī us kī thī jalā ghar merā
aa.ina kis kā huā chuur adā kis kī thī
maiñ ne bīnā.iyāñ bo kar bhī añdhere kaaTe
shahr merā thā magar āb-o-havā kis kī thī
chhoḌ dī kis ke liye tū ne 'muzaffar' duniyā
justujū sī tujhe har vaqt batā kis kī thī
zaKHm-e-tanhai mein KHushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi
aansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
hath to main ne uThae the du'a kis ki thi
waqt ki tarh dabe paon ye kaun aaya tha
main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi
meri aahon ki zaban koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi
us ki raftar se lipTi rahin meri aankhen
us ne muD kar bhi na dekha ki wafa kis ki thi
aag se dosti us ki thi jala ghar mera
aaina kis ka hua chur ada kis ki thi
main ne binaiyan bo kar bhi andhere kaTe
shahr mera tha magar aab-o-hawa kis ki thi
chhoD di kis ke liye tu ne 'muzaffar' duniya
justuju si tujhe har waqt bata kis ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.