ek muddat guzar basar ke baad
ek muddat guzar basar ke baa'd
DhūñDtā huuñ vujūd ghar ke baa'd
mas.ala hai ki ab kidhar jā.ūñ
'umr bhar kī idhar udhar ke baa'd
sukh safar hai agar to dukh ghar hai
log aate haiñ ghar safar ke baa'd
jān-e-jāñ ham tire asar meñ haiñ
kyā asar hogā is asar ke baa'd
ek chhoḌī Dagar pe lauT aa.e
ek chhūTī huī Dagar ke baa'd
aur phir haañ bhī kar hī dī ham ne
yaar lekin agar magar ke baa'd
thī jo duniyā mire taḳhayyul meñ
aur duniyā hai ik nazar ke baa'd
biij pahle shajar baneñge phir
biij ban jā.eñge shajar ke baa'd
ek muddat guzar basar ke ba'd
DhunDta hun wujud ghar ke ba'd
masala hai ki ab kidhar jaun
'umr bhar ki idhar udhar ke ba'd
sukh safar hai agar to dukh ghar hai
log aate hain ghar safar ke ba'd
jaan-e-jaan hum tere asar mein hain
kya asar hoga is asar ke ba'd
ek chhoDi Dagar pe lauT aae
ek chhuTi hui Dagar ke ba'd
aur phir han bhi kar hi di hum ne
yar lekin agar magar ke ba'd
thi jo duniya mere taKHayyul mein
aur duniya hai ek nazar ke ba'd
bij pahle shajar banenge phir
bij ban jaenge shajar ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.