KHud ko late hi nahin jo kisi mushkil ke qarib
ḳhud ko laate hī nahīñ jo kisī mushkil ke qarīb
vo pahuñch hī nahīñ paate kabhī manzil ke qarīb
apne aage jo har ik shaḳhs ko kamtar samjhe
maiñ nahīñ baiThtī aise kisī qābil ke qarīb
dost us ko hī muqaddar kā likhā kahte haiñ
kashtiyāñ Duub ga.iiñ jo tirī sāhil ke qarīb
itne achchhe bhī nahīñ hote haiñ tanhā.ī meñ log
jitne achchhe nazar aate haiñ ye mahfil ke qarīb
'monikā' sab ko ijāzat nahīñ detī is kī
'monikā' sab ko basātī hī nahīñ dil ke qarīb
KHud ko late hi nahin jo kisi mushkil ke qarib
wo pahunch hi nahin pate kabhi manzil ke qarib
apne aage jo har ek shaKHs ko kamtar samjhe
main nahin baiThti aise kisi qabil ke qarib
dost us ko hi muqaddar ka likha kahte hain
kashtiyan Dub gain jo teri sahil ke qarib
itne achchhe bhi nahin hote hain tanhai mein log
jitne achchhe nazar aate hain ye mahfil ke qarib
'monika' sab ko ijazat nahin deti is ki
'monika' sab ko basati hi nahin dil ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.