Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarhad-e-fana tak bhi tirgi nahin aai

Salam Machhli shahri

sarhad-e-fana tak bhi tirgi nahin aai

Salam Machhli shahri

sarhad-e-fanā tak bhī tīrgī nahīñ aa.ī

yuuñ bhī raas añdheroñ zindagī nahīñ aa.ī

tum sharāb kar bhī hosh-mand rahte ho

jaane kyuuñ mujhe aisī mai-kashī nahīñ aa.ī

jis bhī tabāhī ho kuchh asar to rakhtī hai

aaj merī hālat par kyuuñ hañsī nahīñ aa.ī

aur bhī daraḳhshāñ ho ai mire na.e sūraj

ab bhī mere āñgan meñ raushnī nahīñ aa.ī

rahravān-e-dānish zindagī batātī hai

kaam kin manāzil meñ āgahī nahīñ aa.ī

log chaar din meñ ban ga.e 'salām' ai dil

aur ḳhud mujhe ab tak shā.erī nahīñ aa.ī

sarhad-e-fana tak bhi tirgi nahin aai

yun bhi ras andheron ki zindagi nahin aai

tum sharab pi kar bhi hosh-mand rahte ho

jaane kyun mujhe aisi mai-kashi nahin aai

jis ki bhi tabahi ho kuchh asar to rakhti hai

aaj meri haalat par kyun hansi nahin aai

aur bhi daraKHshan ho ai mere nae suraj

ab bhi mere aangan mein raushni nahin aai

rahrawan-e-danish ki zindagi batati hai

kaam kin manazil mein aagahi nahin aai

log chaar hi din mein ban gae 'salam' ai dil

aur KHud mujhe ab tak shaeri nahin aai

Source :
  • Book : Intekhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 112)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now