nigahon mein sarabon ke siwa manzar nahin aata
nigāhoñ meñ sarāboñ ke sivā manzar nahīñ aatā
bhaTaktā phir rahā huuñ maiñ koī rahbar nahīñ aatā
hamārī shān-e-istiġhnā pe kitnā dang hai vo bhī
hamārī tamkanat ke rū-barū qaisar nahīñ aatā
mire āñgan meñ yādeñ to chalī aatī haiñ rātoñ ko
magar milne kabhī vo be-vafā dil-bar nahīñ aatā
tamāshā.ī bane baiThe haiñ ahl-e-shahr sab ke sab
bachāne ke liye mazlūm ko lashkar nahīñ aatā
hazāroñ saal se jaarī hai gardish un sitāroñ kī
samajh meñ gardish-e-ayyām kā mehvar nahīñ aatā
sabhī 'almīr' is duniyā meñ haiñ apnī ġharaz vaale
koī bhī be-ġharaz ulfat kā ab ḳhūgar nahīñ aatā
nigahon mein sarabon ke siwa manzar nahin aata
bhaTakta phir raha hun main koi rahbar nahin aata
hamari shan-e-istighna pe kitna dang hai wo bhi
hamari tamkanat ke ru-baru qaisar nahin aata
mere aangan mein yaaden to chali aati hain raaton ko
magar milne kabhi wo be-wafa dil-bar nahin aata
tamashai bane baiThe hain ahl-e-shahr sab ke sab
bachane ke liye mazlum ko lashkar nahin aata
hazaron sal se jari hai gardish un sitaron ki
samajh mein gardish-e-ayyam ka mehwar nahin aata
sabhi 'almir' is duniya mein hain apni gharaz wale
koi bhi be-gharaz ulfat ka ab KHugar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.