sar par thi kaDi dhup bas itna hi nahin tha
sar par thī kaḌī dhuup bas itnā hī nahīñ thā
us shahr ke peḌoñ meñ to saayā hī nahīñ thā
paanī meñ zarā der ko halchal to huī thī
phir yuuñ thā ki jaise koī Duubā hī nahīñ thā
likkhe the safar paañv meñ kis tarah Thaharte
aur ye bhī ki tum ne to pukārā hī nahīñ thā
apnī hī nigāhoñ pe bharosa na rahegā
tum itnā badal jāoge sochā hī nahīñ thā
kanda the mire zehn pe kyuuñ us ke ḳhad-o-ḳhāl
chehra jo mirī aañkh ne dekhā hī nahīñ thā
sar par thi kaDi dhup bas itna hi nahin tha
us shahr ke peDon mein to saya hi nahin tha
pani mein zara der ko halchal to hui thi
phir yun tha ki jaise koi Duba hi nahin tha
likkhe the safar panw mein kis tarah Thaharte
aur ye bhi ki tum ne to pukara hi nahin tha
apni hi nigahon pe bharosa na rahega
tum itna badal jaoge socha hi nahin tha
kanda the mere zehn pe kyun us ke KHad-o-KHal
chehra jo meri aankh ne dekha hi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.