Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa

Farhan Salim

main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa

Farhan Salim

maiñ tire sañg kaise chalūñ ham-safar samundar hai maiñ sāhiloñ havā

kahāñ maiñ kahāñ al-amāñ al-hazar samundar hai maiñ sāhiloñ havā

tujh se hai sab ye husn-e-jahāñ mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashāñ sar ba-sar

harīm-e-qamar maiñ hazīn-e-sahar samundar hai maiñ sāhiloñ havā

gaah shorīda-sar gaah ḳhāmosh-tar tujh meñ poshīda haiñ raaz sab basta-sar

tere lāl-o-gohar aur maiñ ḳhāk-sar samundar hai maiñ sāhiloñ havā

bahāroñ libās-e-shajar maiñ ḳhizāñ sadā maiñ ġhubār-e-safar

numūd-e-matar maiñ hadīs-e-digar samundar hai maiñ sāhiloñ havā

vus.at-e-be-karāñ maḳhzan-e-sīm-o-zar be-had-o-be-nishāñ terī har rah-guzar

ba-hadd-e-nazar maiñ kanār-e-safar samundar hai maiñ sāhiloñ havā

main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa

tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hawa

tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar

tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hawa

gah shorida-sar gah KHamosh-tar tujh mein poshida hain raaz sab basta-sar

tere lal-o-gohar aur main KHak-sar tu samundar hai main sahilon ki hawa

tu bahaaron ki ja tu libas-e-shajar main KHizan ki sada main ghubar-e-safar

tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hawa

wusat-e-be-karan maKHzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar

tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa

RECITATIONS

Noor Jahan

Noor Jahan,

00:00/00:00
Noor Jahan

main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa Noor Jahan

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now