baad-paima hai mauj-e-har-dariya
bād-paimā hai mauj-e-har-dariyā
sāhil-andesh haiñ magar dariyā
sat.h-e-dariyā havāoñ kī halchal
qa'r-e-dariyā sarāb dar-dariyā
rāste hī badalte rahte haiñ
manziloñ se haiñ be-ḳhabar dariyā
koh-e-ātish-fashāñ ke dāman meñ
bah rahe haiñ idhar udhar dariyā
kuchh maqāmāt se guzarte haiñ
ab bhī yādoñ meñ Duub kar dariyā
phir bhī dariyā haiñ laakh rakhte hoñ
apne āġhosh meñ bhañvar dariyā
zindagī dopahar hai sāvan kī
har nafas aag har nazar dariyā
dekhiye sail-e-ġham kahāñ Thahre
dil samundar hai chashm-e-tar dariyā
har samundar sarāb ban jaa.e
rau meñ 'shāhid' na hoñ agar dariyā
baad-paima hai mauj-e-har-dariya
sahil-andesh hain magar dariya
sath-e-dariya hawaon ki halchal
qa'r-e-dariya sarab dar-dariya
raste hi badalte rahte hain
manzilon se hain be-KHabar dariya
koh-e-atish-fashan ke daman mein
bah rahe hain idhar udhar dariya
kuchh maqamat se guzarte hain
ab bhi yaadon mein Dub kar dariya
phir bhi dariya hain lakh rakhte hon
apne aaghosh mein bhanwar dariya
zindagi dopahar hai sawan ki
har nafas aag har nazar dariya
dekhiye sail-e-gham kahan Thahre
dil samundar hai chashm-e-tar dariya
har samundar sarab ban jae
rau mein 'shahid' na hon agar dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.