jab aankh so gai to mera dil mahak uTha
jab aañkh so ga.ī to mirā dil mahak uThā
tanvīr-e-e'timād se chehra damak uThā
jab hoñT sil ga.e to havā bhī palaT ga.ī
aañsū girā to dard kā sahrā khanak uThā
sūraj chhupā to saath parastār chhup ga.e
mahtāb aa gayā to muqaddar chamak uThā
zulmat baḌhī to jism kī mash'al sulag uThī
vo raushnī huī ki jahannam bhaḌak uThā
paanī kī ek buuñd ke badle mujhe 'nisār'
itnā lahū milā ki mirā dil dhaḌak uThā
jab aankh so gai to mera dil mahak uTha
tanwir-e-e'timad se chehra damak uTha
jab honT sil gae to hawa bhi palaT gai
aansu gira to dard ka sahra khanak uTha
suraj chhupa to sath parastar chhup gae
mahtab aa gaya to muqaddar chamak uTha
zulmat baDhi to jism ki mash'al sulag uThi
wo raushni hui ki jahannam bhaDak uTha
pani ki ek bund ke badle mujhe 'nisar'
itna lahu mila ki mera dil dhaDak uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.