safar hai mera apne Dar ki taraf
safar hai mirā apne Dar kī taraf
mirī ek zāt-e-digar kī taraf
bhare shahr meñ ik bayābāñ bhī thā
ishāra thā apne hī ghar kī taraf
mire vāste jaane kyā lā.egī
ga.ī hai havā ik khañDar kī taraf
kināra hī kaTne kī sab der thī
phisalte ga.e ham bhañvar kī taraf
koī darmiyāñ se nikaltā gayā
na dekhā kisī ham-safar kī taraf
tirī dushmanī ḳhud hī maa.il rahī
kisī rishta-e-be-zarar kī taraf
rahī dil meñ hasrat ki 'bānī' chaleñ
kisī manzil-e-pur-ḳhatar kī taraf
safar hai mera apne Dar ki taraf
meri ek zat-e-digar ki taraf
bhare shahr mein ek bayaban bhi tha
ishaara tha apne hi ghar ki taraf
mere waste jaane kya laegi
gai hai hawa ek khanDar ki taraf
kinara hi kaTne ki sab der thi
phisalte gae hum bhanwar ki taraf
koi darmiyan se nikalta gaya
na dekha kisi ham-safar ki taraf
teri dushmani KHud hi mail rahi
kisi rishta-e-be-zarar ki taraf
rahi dil mein hasrat ki 'bani' chalen
kisi manzil-e-pur-KHatar ki taraf
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.