sadiyon tawil raat ke zanu se sar uTha
sadiyoñ tavīl raat ke zaanū se sar uThā
sūraj ufuq se jhāñk rahā hai nazar uThā
itnī burī nahīñ hai khañDar kī zamīn bhī
is Dher ko sameT na.e bām-o-dar uThā
mumkin hai koī haath samundar lapeT de
kashtī meñ sau shigāf hoñ lañgar magar uThā
shāḳh-e-chaman meñ aag lagā kar gayā thā kyuuñ
ab ye azāb-e-dar-badrī umr bhar uThā
manzil pe aa ke dekh rahā huuñ maiñ aa.ina
kitnā ġhubār thā jo sar-e-rahguzar uThā
sahrā meñ thoḌī der Thaharnā ġhalat na thā
le gard-bād baiTh gayā ab to sar uThā
dastak meñ koī dard kī ḳhushbū zarūr thī
darvāza kholne ke liye ghar kā ghar uThā
'qaisar' matā-e-dil kā ḳharīdār kaun hai
bāzār ujaḌ gayā hai dukān-e-hunar uThā
sadiyon tawil raat ke zanu se sar uTha
suraj ufuq se jhank raha hai nazar uTha
itni buri nahin hai khanDar ki zamin bhi
is Dher ko sameT nae baam-o-dar uTha
mumkin hai koi hath samundar lapeT de
kashti mein sau shigaf hon langar magar uTha
shaKH-e-chaman mein aag laga kar gaya tha kyun
ab ye azab-e-dar-badri umr bhar uTha
manzil pe aa ke dekh raha hun main aaina
kitna ghubar tha jo sar-e-rahguzar uTha
sahra mein thoDi der Thaharna ghalat na tha
le gard-baad baiTh gaya ab to sar uTha
dastak mein koi dard ki KHushbu zarur thi
darwaza kholne ke liye ghar ka ghar uTha
'qaisar' mata-e-dil ka KHaridar kaun hai
bazar ujaD gaya hai dukan-e-hunar uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.