achchha to tum aise the
achchhā to tum aise the
duur se kaise lagte the
haath tumhāre shaal meñ bhī
kitne ThanDe rahte the
sāmne sab ke us se ham
khiñche khiñche se rahte the
aañkh kahīñ par hotī thī
baat kisī se karte the
qurbat ke un lamhoñ meñ
ham kuchh aur hī hote the
saath meñ rah kar bhī us se
chalte vaqt hī milte the
itne baḌe ho ke bhī ham
bachchoñ jaisā rote the
jald hī us ko bhuul ga.e
aur bhī dhoke khāne the
achchha to tum aise the
dur se kaise lagte the
hath tumhaare shaal mein bhi
kitne ThanDe rahte the
samne sab ke us se hum
khinche khinche se rahte the
aankh kahin par hoti thi
baat kisi se karte the
qurbat ke un lamhon mein
hum kuchh aur hi hote the
sath mein rah kar bhi us se
chalte waqt hi milte the
itne baDe ho ke bhi hum
bachchon jaisa rote the
jald hi us ko bhul gae
aur bhi dhoke khane the
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 27)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.