Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhse mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost

Ahmad Faraz

tujhse mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost

Ahmad Faraz

tujh se mil kar to ye lagtā hai ki ai ajnabī dost

mirī pahlī mohabbat thī mirī āḳhirī dost

log har baat afsāna banā dete haiñ

ye to duniyā hai mirī jaañ ka.ī dushman ka.ī dost

tere qāmat se bhī lipTī hai amar-bel koī

merī chāhat ko bhī duniyā nazar khā ga.ī dost

yaad aa.ī hai to phir TuuT ke yaad aa.ī hai

koī guzrī huī manzil koī bhūlī huī dost

ab bhī aa.e ho to ehsān tumhārā lekin

vo qayāmat jo guzarnī thī guzar bhī ga.ī dost

tere lahje thakan meñ tirā dil shāmil hai

aisā lagtā hai judā.ī ghaḌī aa ga.ī dost

bārish-e-sañg mausam hai mire shahr meñ to

ye shīshe badan le ke kahāñ aa ga.ī dost

maiñ use ahd-shikan kaise samajh luuñ jis ne

āḳhirī ḳhat meñ ye likkhā thā faqat aap dost

tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost

tu meri pahli mohabbat thi meri aaKHiri dost

log har baat ka afsana bana dete hain

ye to duniya hai meri jaan kai dushman kai dost

tere qamat se bhi lipTi hai amar-bel koi

meri chahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost

yaad aai hai to phir TuT ke yaad aai hai

koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost

ab bhi aae ho to ehsan tumhaara lekin

wo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost

tere lahje ki thakan mein tera dil shamil hai

aisa lagta hai judai ki ghaDi aa gai dost

barish-e-sang ka mausam hai mere shahr mein to

tu ye shishe sa badan le ke kahan aa gai dost

main use ahd-shikan kaise samajh lun jis ne

aaKHiri KHat mein ye likkha tha faqat aap ki dost

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

tujhse mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now