mariz-e-ishq hun hargiz na ab dawa dena
marīz-e-'ishq huuñ hargiz na ab davā denā
mujhe du'ā kī zarūrat hai bas du'ā denā
maiñ ro diyā ki anīsī mizāj thā merā
unheñ ye chaah thī dekho to muskurā denā
agar ye 'ishq nahīñ hai to aur phir kyā hai
bas ek vā'de kī ḳhātir galā kaTā denā
ham apne ghar meñ akele haiñ ik zamāne se
koī hamārā mile to hameñ batā denā
hameñ rulāne kā ye bhī 'ajab tarīqa hai
hamāre sāmne ik qahqaha lagā denā
hamārā ashk koī pochhne nahīñ aayā
kahā sabhī ne zarūrat ho to batā denā
vafā-shi'ār the 'hānī' vafā-shi'ār rahe
hamāre bas meñ nahīñ thā unheñ bhulā denā
mariz-e-'ishq hun hargiz na ab dawa dena
mujhe du'a ki zarurat hai bas du'a dena
main ro diya ki anisi mizaj tha mera
unhen ye chah thi dekho to muskura dena
agar ye 'ishq nahin hai to aur phir kya hai
bas ek wa'de ki KHatir gala kaTa dena
hum apne ghar mein akele hain ek zamane se
koi hamara mile to hamein bata dena
hamein rulane ka ye bhi 'ajab tariqa hai
hamare samne ek qahqaha laga dena
hamara ashk koi pochhne nahin aaya
kaha sabhi ne zarurat ho to bata dena
wafa-shi'ar the 'hani' wafa-shi'ar rahe
hamare bas mein nahin tha unhen bhula dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.