KHun ki tarh bahna paDta hai
ḳhuun kī tarh bahnā paḌtā hai
har aziyyat ko sahnā paḌtā hai
jab koī pūchhtā hai hāl-e-dil
Thiik huuñ ḳhush huuñ kahnā paḌtā hai
dekh kar jin ko aatā hai ġhussa
saath un ke bhī rahnā paḌtā hai
KHun ki tarh bahna paDta hai
har aziyyat ko sahna paDta hai
jab koi puchhta hai haal-e-dil
Thik hun KHush hun kahna paDta hai
dekh kar jin ko aata hai ghussa
sath un ke bhi rahna paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.