aankhon se apne KHun bahata hai kis tarah
āñkhoñ se apne ḳhuun bahātā hai kis tarah
tū raaz apne ġham kā chhupātā hai kis tarah
sach bolne kā hausla aatā hai kis tarah
jhūToñ ke biich sach tū bachātā hai kis tarah
tujh meñ kahāñ se aa.ī ye himmat zarā batā
har fikr tū dhueñ meñ uḌātā hai kis tarah
duniyā kī gardishoñ meñ jo rahtā hai be-niyāz
vo ziist ḳhush-gavār banātā hai kis tarah
'shimla' ye zindagī bhī 'ajab imtihān hai
har dard ko tū hañs ke nibhātā hai kis tarah
aankhon se apne KHun bahata hai kis tarah
tu raaz apne gham ka chhupata hai kis tarah
sach bolne ka hausla aata hai kis tarah
jhuTon ke bich sach tu bachata hai kis tarah
tujh mein kahan se aai ye himmat zara bata
har fikr tu dhuen mein uData hai kis tarah
duniya ki gardishon mein jo rahta hai be-niyaz
wo zist KHush-gawar banata hai kis tarah
'shimla' ye zindagi bhi 'ajab imtihan hai
har dard ko tu hans ke nibhata hai kis tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.