Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabr har bar iKHtiyar kiya

Gulzar

sabr har bar iKHtiyar kiya

Gulzar

sabr har baar iḳhtiyār kiyā

ham se hotā nahīñ hazār kiyā

ādatan tum ne kar diye va.ade

ādatan ham ne e'tibār kiyā

ham ne aksar tumhārī rāhoñ meñ

ruk kar apnā intizār kiyā

phir na māñgeñge zindagī yā-rab

ye gunah ham ne ek baar kiyā

sabr har bar iKHtiyar kiya

hum se hota nahin hazar kiya

aadatan tum ne kar diye wade

aadatan hum ne e'tibar kiya

hum ne aksar tumhaari rahon mein

ruk kar apna hi intizar kiya

phir na mangenge zindagi ya-rab

ye gunah hum ne ek bar kiya

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ali Raza

Ali Raza

Source :
  • Book : Yaar Julahe (Pg. 154)
  • Author : Yatindra Mishra
  • Publication : Vaniprakashan (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now