Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

roya karenge aap bhi pahron isi tarah

Momin Khan Momin

roya karenge aap bhi pahron isi tarah

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

    royā kareñge aap bhī pahroñ isī tarah

    aTkā kahīñ jo aap dil bhī mirī tarah

    you too will end up weeping hours, in this very way

    if your heart, like mine, is this entangled some day

    aatā nahīñ hai vo to kisī Dhab se daav meñ

    bantī nahīñ hai milne us ke koī tarah

    she is not ensnared by any tactic I pursue

    there is no way to meet her whatever I may do

    tashbīh kis se duuñ ki tarah-dār mire

    sab se nirālī vaz.a hai sab se na.ī tarah

    for my dearest one how do I find a similie

    her manner is unique and new as no one else can be

    mar chuk kahīñ ki ġham-e-hijrāñ se chhūT jaa.e

    kahte to haiñ bhale va-lekin burī tarah

    go die somewhere to get release from separation's pain

    she means well although she talks in a vicious vein

    ne taab hijr meñ hai na ārām vasl meñ

    kam-baḳht dil ko chain nahīñ hai kisī tarah

    no peace in separation, nor in union ease

    this hapless heart is restless, do whatever I please

    lagtī haiñ gāliyāñ bhī tire muñh se kyā bhalī

    qurbān tere phir mujhe kah le usī tarah

    even your abuse sounds sweet to my ears, its true

    keep on in this tone and my life belongs to you

    pāmāl ham na hote faqat jaur-e-charḳh se

    aa.ī hamārī jaan pe aafat ka.ī tarah

    I would not be trampled only by heaven's excess

    my life indeed has undergone so many kinds of stress

    ne jaa.e vaañ bane hai na bin jaa.e chain hai

    kyā kījiye hameñ to hai mushkil sabhī tarah

    neither can I go there, nor can I stay away

    what can I do? I am constrained, each and every way

    ma.ashūq aur bhī haiñ batā de jahān meñ

    kartā hai kaun zulm kisī par tirī tarah

    in this world, there'd surely be, other beloveds too

    tell me is there anyone as cruel as you?

    huuñ jāñ-ba-lab butān-e-sitamgar ke haath se

    kyā sab jahāñ meñ jiite haiñ 'momin' isī tarah

    my life hangs on edge due to these idol's cruelty

    does everybody in this world momin live like me?

    roya karenge aap bhi pahron isi tarah

    aTka kahin jo aap ka dil bhi meri tarah

    you too will end up weeping hours, in this very way

    if your heart, like mine, is this entangled some day

    aata nahin hai wo to kisi Dhab se daw mein

    banti nahin hai milne ki us ke koi tarah

    she is not ensnared by any tactic I pursue

    there is no way to meet her whatever I may do

    tashbih kis se dun ki tarah-dar ki mere

    sab se nirali waza hai sab se nai tarah

    for my dearest one how do I find a similie

    her manner is unique and new as no one else can be

    mar chuk kahin ki tu gham-e-hijran se chhuT jae

    kahte to hain bhale ki wa-lekin buri tarah

    go die somewhere to get release from separation's pain

    she means well although she talks in a vicious vein

    ne tab hijr mein hai na aaram wasl mein

    kam-baKHt dil ko chain nahin hai kisi tarah

    no peace in separation, nor in union ease

    this hapless heart is restless, do whatever I please

    lagti hain galiyan bhi tere munh se kya bhali

    qurban tere phir mujhe kah le usi tarah

    even your abuse sounds sweet to my ears, its true

    keep on in this tone and my life belongs to you

    pamal hum na hote faqat jaur-e-charKH se

    aai hamari jaan pe aafat kai tarah

    I would not be trampled only by heaven's excess

    my life indeed has undergone so many kinds of stress

    ne jae wan bane hai na bin jae chain hai

    kya kijiye hamein to hai mushkil sabhi tarah

    neither can I go there, nor can I stay away

    what can I do? I am constrained, each and every way

    mashuq aur bhi hain bata de jahan mein

    karta hai kaun zulm kisi par teri tarah

    in this world, there'd surely be, other beloveds too

    tell me is there anyone as cruel as you?

    hun jaan-ba-lab butan-e-sitamgar ke hath se

    kya sab jahan mein jite hain 'momin' isi tarah

    my life hangs on edge due to these idol's cruelty

    does everybody in this world momin live like me?

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now