Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai

Jaun Eliya

tu bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai

Jaun Eliya

bhī chup hai maiñ bhī chup huuñ ye kaisī tanhā.ī hai

tere saath tirī yaad aa.ī kyā sach-much aa.ī hai

shāyad vo din pahlā din thā palkeñ bojhal hone

mujh ko dekhte jab us añgḌā.ī sharmā.ī hai

us din pahlī baar huā thā mujh ko rifāqat ehsās

jab us ke malbūs ḳhushbū ghar pahuñchāne aa.ī hai

husn se arz-e-shauq na karnā husn ko zak pahuñchānā hai

ham ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahuñchā.ī hai

ham ko aur to kuchh nahīñ sūjhā albatta us ke dil meñ

soz-e-raqābat paidā kar ke us niiñd uḌaa.ī hai

ham donoñ mil kar bhī diloñ tanhā.ī meñ bhaTkeñge

pāgal kuchh to soch ye ne kaisī shakl banā.ī hai

ishq-e-pechāñ sandal par jaane kis din bel chaḌhe

kyārī meñ paanī Thahrā hai dīvāroñ par kaa.ī hai

husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne naam

ishq pesha husn-parastī ishq baḌā harjā.ī hai

aaj bahut din ba.ad maiñ apne kamre tak aa niklā thā

juuñ darvāza kholā hai us ḳhushbū aa.ī hai

ek to itnā habs hai phir maiñ sāñseñ roke baiThā huuñ

vīrānī ne jhāḌū de ke ghar meñ dhuul uḌaa.ī hai

tu bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai

tere sath teri yaad aai kya tu sach-much aai hai

shayad wo din pahla din tha palken bojhal hone ka

mujh ko dekhte hi jab us ki angDai sharmai hai

us din pahli bar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsas

jab us ke malbus ki KHushbu ghar pahunchane aai hai

husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai

hum ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchai hai

hum ko aur to kuchh nahin sujha albatta us ke dil mein

soz-e-raqabat paida kar ke us ki nind uDai hai

hum donon mil kar bhi dilon ki tanhai mein bhaTkenge

pagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl banai hai

ishq-e-pechan ki sandal par jaane kis din bel chaDhe

kyari mein pani Thahra hai diwaron par kai hai

husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne nam

ishq ka pesha husn-parasti ishq baDa harjai hai

aaj bahut din baad main apne kamre tak aa nikla tha

jun hi darwaza khola hai us ki KHushbu aai hai

ek to itna habs hai phir main sansen roke baiTha hun

virani ne jhaDu de ke ghar mein dhul uDai hai

Source :
  • Book : shayad (Pg. 111)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now