ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!
ye kaj-adā.ī ye ġhamza tirā kabhī phir yaar!
ki terā shahr nayā aur maiñ musāfir yaar!
tū aur kuchh na sahī, dost to hai āḳhir yaar!
dukhī rahā hai bahut aaj terā shā.ir yaar!
kahāñ kā lams, kahāñ kī havas, kahāñ kā visāl
taḌap rahā huuñ tirī hamdamī kī ḳhātir yaar!
sambhal bhī jaatā thā dil tere hijr meñ, ya.anī
rahā huuñ maiñ bhī tirī aarzū kā munkir yaar!
pukārtī haiñ mujhe ghanTiyāñ tirī aise
ki jaisā terā madīna ho koī mandir yaar!
ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!
ki tera shahr naya aur main musafir yar!
tu aur kuchh na sahi, dost to hai aaKHir yar!
dukhi raha hai bahut aaj tera shair yar!
kahan ka lams, kahan ki hawas, kahan ka visal
taDap raha hun teri hamdami ki KHatir yar!
sambhal bhi jata tha dil tere hijr mein, yani
raha hun main bhi teri aarzu ka munkir yar!
pukarti hain mujhe ghanTiyan teri aise
ki jaisa tera madina ho koi mandir yar!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.