raushni mein kis qadar diwar-o-dar achchhe lage
raushnī meñ kis qadar dīvār-o-dar achchhe lage
shahr ke saare makāñ saare khañDar achchhe lage
pahle pahle maiñ bhī thā amn o amaañ kā mo'tarif
aur phir aisā huā nezoñ pe sar achchhe lage
jab talak āzād the har ik masāfat thī vabāl
jab paḌī zanjīr pairoñ meñ safar achchhe lage
dā.era dar dā.era paanī kā raqs jāvedāñ
aañkh kī putlī ko dariyā ke bhañvar achchhe lage
kaise kaise marhale sar terī ḳhātir se kiye
kaise kaise log tere naam par achchhe lage
raushni mein kis qadar diwar-o-dar achchhe lage
shahr ke sare makan sare khanDar achchhe lage
pahle pahle main bhi tha amn o aman ka mo'tarif
aur phir aisa hua nezon pe sar achchhe lage
jab talak aazad the har ek masafat thi wabaal
jab paDi zanjir pairon mein safar achchhe lage
daera dar daera pani ka raqs jawedan
aankh ki putli ko dariya ke bhanwar achchhe lage
kaise kaise marhale sar teri KHatir se kiye
kaise kaise log tere nam par achchhe lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.