Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke chhuT jaane ka use kyon gham nahin hota

Abdul Mannan Samadi

kisi ke chhuT jaane ka use kyon gham nahin hota

Abdul Mannan Samadi

kisī ke chhūT jaane use kyoñ ġham nahīñ hotā

tirā dil hai ki patthar hai kabhī jo nam nahīñ hotā

parinde gungunāte haiñ tumhāre shahr meñ lekin

hamāre shahr aisā kabhī mausam nahīñ hotā

ba-zāhir jugnuoñ raushnī se ghar to raushan hai

magar phir bhī mire ghar añdherā kam nahīñ hotā

ḳhudā se gar tujhe māñgā nahīñ hotā du'āoñ meñ

tujhe khone phir ham ko zarā bhī ġham nahīñ hotā

nigāhoñ ne hamārī ek manzar vo bhī dekhā hai

jahāñ apnoñ ke marne koī mātam nahīñ hotā

kisi ke chhuT jaane ka use kyon gham nahin hota

tera dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota

parinde gungunate hain tumhaare shahr mein lekin

hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota

ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai

magar phir bhi mere ghar ka andhera kam nahin hota

KHuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon mein

tujhe khone ka phir hum ko zara bhi gham nahin hota

nigahon ne hamari ek manzar wo bhi dekha hai

jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now