Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek chand tirgi mein samar raushni ka tha

Mayank Awasthi

ek chand tirgi mein samar raushni ka tha

Mayank Awasthi

MORE BYMayank Awasthi

    ik chāñd tīrgī meñ samar raushnī thā

    phir bhed khul gayā vo bhañvar raushnī thā

    sūraj pe ne aañkh tarerī thī yaad kar

    bīnā.iyoñ pe phir jo asar raushnī thā

    sab chāñdnī kisī ināyat thī chāñd par

    us dāġhdār show pe kavar raushnī thā

    maġhrib mad-bharī huī rātoñ meñ kho gayā

    is ghar meñ koī laḳht-e-jigar raushnī thā

    dariyā meñ us ne Duub ke kar hai ḳhud-kushī

    jis shai āsmāñ pe safar raushnī thā

    zarre ko āftāb banāyā thā ham ne aur

    dhartī pe qahr shām-o-sahar raushnī thā

    ek chand tirgi mein samar raushni ka tha

    phir bhed khul gaya wo bhanwar raushni ka tha

    suraj pe tu ne aankh tareri thi yaad kar

    binaiyon pe phir jo asar raushni ka tha

    sab chandni kisi ki inayat thi chand par

    us daghdar show pe kawar raushni ka tha

    maghrib ki mad-bhari hui raaton mein kho gaya

    is ghar mein koi laKHt-e-jigar raushni ka tha

    dariya mein us ne Dub ke kar li hai KHud-kushi

    jis shai ka aasman pe safar raushni ka tha

    zarre ko aaftab banaya tha hum ne aur

    dharti pe qahr sham-o-sahar raushni ka tha

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now