Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushan tamam kaba o but-KHana ho gaya

Yagana Changezi

raushan tamam kaba o but-KHana ho gaya

Yagana Changezi

MORE BYYagana Changezi

    raushan tamām kaaba o but-ḳhāna ho gayā

    ghar-ghar jamāl-e-yār afsāna ho gayā

    sūrat-parast kab hue ma.anī se āshnā

    aalam fareb-e-tūr afsāna ho gayā

    chashm-e-havas hai shefta-e-husn-e-zāhirī

    dil āshnā-e-ma.ani-e-begāna ho gayā

    āsāñ nahīñ hai aag meñ dānista kūdnā

    dīvāna shauq-e-vasl meñ parvāna ho gayā

    kaifiyat-e-hayāt thī dam bhar mehmāñ

    labrez piite mirā paimāna ho gayā

    ashkoñ se jaam bhar ga.e saaqī yaad meñ

    kuchh to ma.āl-e-majlis-e-rindāna ho gayā

    dair o haram bhī Dhah ga.e jab dil nahīñ rahā

    sab dekhte dekhte vīrāna ho gayā

    kal hai baat josh pe thā ālam-e-shabāb

    yādash-ba-ḳhair aaj ik afsāna ho gayā

    ā.īna dekhtā hai garebāñ ko phaaḌ kar

    vahshī ab apnā aap dīvāna ho gayā

    kyā jaane aaj ḳhvāb meñ kyā dekhā 'yās' ne

    kyuuñ chauñkte aap se begāna ho gayā

    raushan tamam kaba o but-KHana ho gaya

    ghar-ghar jamal-e-yar ka afsana ho gaya

    surat-parast kab hue mani se aashna

    aalam fareb-e-tur ka afsana ho gaya

    chashm-e-hawas hai shefta-e-husn-e-zahiri

    dil aashna-e-mani-e-begana ho gaya

    aasan nahin hai aag mein danista kudna

    diwana shauq-e-wasl mein parwana ho gaya

    kaifiyat-e-hayat thi dam bhar ki mehman

    labrez pite hi mera paimana ho gaya

    ashkon se jam bhar gae saqi ki yaad mein

    kuchh to maal-e-majlis-e-rindana ho gaya

    dair o haram bhi Dhah gae jab dil nahin raha

    sab dekhte hi dekhte virana ho gaya

    kal ki hai baat josh pe tha aalam-e-shabab

    yaadash-ba-KHair aaj ek afsana ho gaya

    aaina dekhta hai gareban ko phaD kar

    wahshi ab apna aap hi diwana ho gaya

    kya jaane aaj KHwab mein kya dekha 'yas' ne

    kyun chaunkte hi aap se begana ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now