raushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam
raushan jamāl-e-yār se hai anjuman tamām
dahkā huā hai ātish-e-gul se chaman tamām
hairat ġhurūr-e-husn se shoḳhī se iztirāb
dil ne bhī tere siikh liye haiñ chalan tamām
allāh-rī jism-e-yār kī ḳhūbī ki ḳhud-ba-ḳhud
rangīniyoñ meñ Duub gayā pairahan tamām
dil ḳhuun ho chukā hai jigar ho chukā hai ḳhaak
baaqī huuñ maiñ mujhe bhī kar ai teġh-zan tamām
dekho to chashm-e-yār kī jādū-nigāhiyāñ
behosh ik nazar meñ huī anjuman tamām
hai nāz-e-husn se jo farozāñ jabīn-e-yār
labrez āb-e-nūr hai chāh-e-zaqan tamām
nashv-o-numā-e-sabza-o-gul se bahār meñ
shādābiyoñ ne gher liyā hai chaman tamām
us nāznīñ ne jab se kiyā hai vahāñ qayām
gulzār ban ga.ī hai zamīn-e-dakan tamām
achchhā hai ahl-e-jaur kiye jaa.eñ saḳhtiyāñ
phailegī yuuñ hī shorish-e-hubb-e-vatan tamām
samjhe haiñ ahl-e-sharq ko shāyad qarīb-e-marg
maġhrib ke yuuñ haiñ jam.a ye zaaġh o zaġhan tamām
shīrīni-e-nasīm hai soz-o-gudāz-e-'mīr'
'hasrat' tire suḳhan pe hai lutf-e-suḳhan tamām
raushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam
dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
hairat ghurur-e-husn se shoKHi se iztirab
dil ne bhi tere sikh liye hain chalan tamam
allah-ri jism-e-yar ki KHubi ki KHud-ba-KHud
ranginiyon mein Dub gaya pairahan tamam
dil KHun ho chuka hai jigar ho chuka hai KHak
baqi hun main mujhe bhi kar ai tegh-zan tamam
dekho to chashm-e-yar ki jadu-nigahiyan
behosh ek nazar mein hui anjuman tamam
hai naz-e-husn se jo farozan jabin-e-yar
labrez aab-e-nur hai chah-e-zaqan tamam
nashw-o-numa-e-sabza-o-gul se bahaar mein
shadabiyon ne gher liya hai chaman tamam
us naznin ne jab se kiya hai wahan qayam
gulzar ban gai hai zamin-e-dakan tamam
achchha hai ahl-e-jaur kiye jaen saKHtiyan
phailegi yun hi shorish-e-hubb-e-watan tamam
samjhe hain ahl-e-sharq ko shayad qarib-e-marg
maghrib ke yun hain jama ye zagh o zaghan tamam
shirini-e-nasim hai soz-o-gudaz-e-'mir'
'hasrat' tere suKHan pe hai lutf-e-suKHan tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.