teri har baat mohabbat mein gawara kar ke
terī har baat mohabbat meñ gavārā kar ke
dil ke bāzār meñ baiThe haiñ ḳhasāra kar ke
aate jaate haiñ ka.ī rang mire chehre par
log lete haiñ mazā zikr tumhārā kar ke
ek chingārī nazar aa.ī thī bastī meñ use
vo alag haT gayā āñdhī ko ishāra kar ke
āsmānoñ kī taraf pheñk diyā hai maiñ ne
chand miTTī ke charāġhoñ ko sitāra kar ke
maiñ vo dariyā huuñ ki har buuñd bhañvar hai jis kī
tum ne achchhā hī kiyā mujh se kināra kar ke
muntazir huuñ ki sitāroñ kī zarā aañkh lage
chāñd ko chhat pe bulā lūñgā ishāra kar ke
teri har baat mohabbat mein gawara kar ke
dil ke bazar mein baiThe hain KHasara kar ke
aate jate hain kai rang mere chehre par
log lete hain maza zikr tumhaara kar ke
ek chingari nazar aai thi basti mein use
wo alag haT gaya aandhi ko ishaara kar ke
aasmanon ki taraf phenk diya hai main ne
chand miTTi ke charaghon ko sitara kar ke
main wo dariya hun ki har bund bhanwar hai jis ki
tum ne achchha hi kiya mujh se kinara kar ke
muntazir hun ki sitaron ki zara aankh lage
chand ko chhat pe bula lunga ishaara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.