Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ilzam mere sar pe laga rahne do

Mohiuddin Waris

ek ilzam mere sar pe laga rahne do

Mohiuddin Waris

MORE BYMohiuddin Waris

    ek ilzām mire sar pe lagā rahne do

    apnī har yaad ko is dil meñ basā rahne do

    dil meñ milne kī kasak lab pe du'ā rahne do

    dam-e-ruḳhsat koī jiine kī adā rahne do

    tum hathelī pe mirā naam na likhnā hargiz

    raaz chāhat kā zamāne se chhupā rahne do

    ab havāoñ meñ bikhar jaane do ḳhushbū ban kar

    phuul huuñ to mujhe kākul meñ sadā rahne do

    ai zamāne tujhe kyuuñ fikr hai yuuñ 'vāris' kī

    vo burā hai to use yuuñ hī burā rahne do

    ek ilzam mere sar pe laga rahne do

    apni har yaad ko is dil mein basa rahne do

    dil mein milne ki kasak lab pe du'a rahne do

    dam-e-ruKHsat koi jine ki ada rahne do

    tum hatheli pe mera nam na likhna hargiz

    raaz chahat ka zamane se chhupa rahne do

    ab hawaon mein bikhar jaane do KHushbu ban kar

    phul hun to mujhe kakul mein sada rahne do

    ai zamane tujhe kyun fikr hai yun 'waris' ki

    wo bura hai to use yun hi bura rahne do

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now