Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ki taq pe donon ki sajai hui raat

Vipul Kumar

waqt ki taq pe donon ki sajai hui raat

Vipul Kumar

vaqt taaq pe donoñ sajā.ī huī raat

kis pe ḳharchī hai batā merī kamā.ī huī raat

aur phir yuuñ huā āñkhoñ ne lahu barsāyā

yaad aa.ī koī bārish meñ bitā.ī huī raat

hijr ke ban meñ hiran apnā bhī merā gayā

usrat-e-ram se bahar-hāl rihā.ī huī raat

to ik lafz-e-mohabbat ko liye baiThā hai

to kahāñ jaatī mire jism pe aa.ī huī raat

dil ko chain aayā to uThne lagā tāroñ ġhubār

sub.h le niklī mire haath meñ aa.ī huī raat

aur phir niiñd aa.ī na koī ḳhvāb aayā

maiñ ne chāhī thī mire ḳhvāb meñ aa.ī huī raat

waqt ki taq pe donon ki sajai hui raat

kis pe KHarchi hai bata meri kamai hui raat

aur phir yun hua aankhon ne lahu barsaya

yaad aai koi barish mein bitai hui raat

hijr ke ban mein hiran apna bhi mera hi gaya

usrat-e-ram se bahar-haal rihai hui raat

tu to ek lafz-e-mohabbat ko liye baiTha hai

to kahan jati mere jism pe aai hui raat

dil ko chain aaya to uThne laga taron ka ghubar

subh le nikli mere hath mein aai hui raat

aur phir nind hi aai na koi KHwab aaya

main ne chahi thi mere KHwab mein aai hui raat

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now