Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subu uTha mere saqi ki raat jati hai

Aazim Kohli

subu uTha mere saqi ki raat jati hai

Aazim Kohli

subū uThā mire saaqī ki raat jaatī hai

nazar milā mire saaqī ki raat jaatī hai

ki manā.e mujhe is liye maiñ rūThā huuñ

mujhe manā mire saaqī ki raat jaatī hai

hai merī jaan mirī jaañ tire tabassum meñ

muskurā mire saaqī ki raat jaatī hai

shab-e-visāl ḳhushbū fazā rañgīnī

kahīñ se mire saaqī ki raat jaatī hai

kisī bahār naġhma koī suhānī ġhazal

gungunā mire saaqī ki raat jaatī hai

phir ik fareb meñ ye shab guzar na jaa.e kahīñ

qasam na khā mire saaqī ki raat jaatī hai

qarīb ho ke bhī 'āzim' ke qarīb nahīñ

palaT ke aa mire saaqī ki raat jaatī hai

subu uTha mere saqi ki raat jati hai

nazar mila mere saqi ki raat jati hai

ki tu manae mujhe is liye main ruTha hun

mujhe mana mere saqi ki raat jati hai

hai meri jaan meri jaan tere tabassum mein

tu muskura mere saqi ki raat jati hai

shab-e-visal ki KHushbu faza ki rangini

kahin se la mere saqi ki raat jati hai

kisi bahaar ka naghma koi suhani ghazal

tu gunguna mere saqi ki raat jati hai

phir ek fareb mein ye shab guzar na jae kahin

qasam na kha mere saqi ki raat jati hai

qarib ho ke bhi 'azim' ke tu qarib nahin

palaT ke aa mere saqi ki raat jati hai

Source :
  • Book : Aaghaz (Pg. 34)
  • Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli
  • Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (january 1998)
  • Edition : january 1998

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now