Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mai ho saghar mein ki KHun raat guzar jaegi

Syed Aabid Ali Aabid

mai ho saghar mein ki KHun raat guzar jaegi

Syed Aabid Ali Aabid

mai ho sāġhar meñ ki ḳhuuñ raat guzar jā.egī

dil ko ġham ho ki sukūñ raat guzar jā.egī

dekhnā ye hai ki andāz-e-sahar kyā hoñge

yuuñ to arbāb-e-junūñ raat guzar jā.egī

na rukā hai na ruke qāfila-e-lail-o-nahār

raat kam ho ki fuzūñ raat guzar jā.egī

maiñ tirā mahram-e-asrār huuñ ai sub.h-e-bahār

ke phūloñ se kahūñ raat guzar jā.egī

muzhda-e-sub.h mubārak tumheñ ai dīda-varo

maiñ jiyūñ na jiyūñ raat guzar jā.egī

raat bhar maiñ ne sajā.e sar-e-mizhgāñ taare

mujh ko thā vahm ki yuuñ raat guzar jā.egī

sub.h uTh kar tujhe rah-rau se lipaTnā hogā

rahbar-e-tīra-darūñ raat guzar jā.egī

mai ho saghar mein ki KHun raat guzar jaegi

dil ko gham ho ki sukun raat guzar jaegi

dekhna ye hai ki andaz-e-sahar kya honge

yun to arbab-e-junun raat guzar jaegi

na ruka hai na ruke qafila-e-lail-o-nahaar

raat kam ho ki fuzun raat guzar jaegi

main tera mahram-e-asrar hun ai subh-e-bahaar

ja ke phulon se kahun raat guzar jaegi

muzhda-e-subh mubarak tumhein ai dida-waro

main jiyun ya na jiyun raat guzar jaegi

raat bhar main ne sajae sar-e-mizhgan tare

mujh ko tha wahm ki yun raat guzar jaegi

subh uTh kar tujhe rah-rau se lipaTna hoga

rahbar-e-tira-darun raat guzar jaegi

Source :
  • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 150)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now