kis ke matam mein ro rahi hai raat
kis ke mātam meñ ro rahī hai raat
chhup ke bāñhoñ meñ so rahī hai raat
dukh hai Thahrā huā nigāhoñ meñ
terī yādeñ bilo rahī hai raat
mujh ko ḳhvāboñ ke baaġh meñ lā kar
ghane jañgal meñ kho rahī hai raat
raushnī ne lagā.e jo ilzām
bahtī āñkhoñ se dho rahī hai raat
is ko bāñhoñ meñ bhar rahī huuñ maiñ
chāñd ḳhud meñ samo rahī hai raat
vasl kā din tulūa honā hai
maiñ to ḳhush huuñ ki ho rahī hai raat
kis ke matam mein ro rahi hai raat
chhup ke banhon mein so rahi hai raat
dukh hai Thahra hua nigahon mein
teri yaaden bilo rahi hai raat
mujh ko KHwabon ke bagh mein la kar
ghane jangal mein kho rahi hai raat
raushni ne lagae jo ilzam
bahti aankhon se dho rahi hai raat
is ko banhon mein bhar rahi hun main
chand KHud mein samo rahi hai raat
wasl ka din tulua hona hai
main to KHush hun ki ho rahi hai raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.