dastakon ka jawab aane tak
dastakoñ kā javāb aane tak
Dhal ga.ī raat ḳhvāb aane tak
ye gunah-gār mar chuke hoñge
āsmāñ se 'azāb aane tak
dāstāñ kitnī chhoḌ aate haiñ
marqadoñ par gulāb aane tak
har jahālat ko āgahī kahiye
shahr meñ inqalāb aane tak
pattharoñ ne ḳhudā.ī kī ham par
ik mujassam kitāb aane tak
kaif-o-mastī meñ ġharq thiiñ 'qāsim'
bastiyāñ zer-e-āb aane tak
dastakon ka jawab aane tak
Dhal gai raat KHwab aane tak
ye gunah-gar mar chuke honge
aasman se 'azab aane tak
dastan kitni chhoD aate hain
marqadon par gulab aane tak
har jahaalat ko aagahi kahiye
shahr mein inqalab aane tak
pattharon ne KHudai ki hum par
ek mujassam kitab aane tak
kaif-o-masti mein gharq thin 'qasim'
bastiyan zer-e-ab aane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.