Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat phir rang pe thi uske badan ki KHushbu

Ahmad Mushtaq

raat phir rang pe thi uske badan ki KHushbu

Ahmad Mushtaq

raat phir rañg pe thī us ke badan ḳhushbū

dil dhaḌkan thī ki uḌte the lahū meñ jugnū

jaise har shai ho kisī ḳhvāb-e-farāmosh meñ gum

chāñd chamkā na kisī yaad ne badlā pahlū

sub.h ke zīna-e-ḳhāmosh pe qadmoñ ke gulāb

shaam band havelī meñ hañsī jaadū

sehn ke sabz añdhere meñ damakte ruḳhsār

saaf bistar ke ujāle meñ chamakte gesū

jhilmilāte rahe vo ḳhvāb jo puure na hue

dard bedār Tapaktā rahā aañsū aañsū

raat phir rang pe thi us ke badan ki KHushbu

dil ki dhaDkan thi ki uDte the lahu mein jugnu

jaise har shai ho kisi KHwab-e-faramosh mein gum

chand chamka na kisi yaad ne badla pahlu

subh ke zina-e-KHamosh pe qadmon ke gulab

sham ki band haweli mein hansi ka jadu

sehn ke sabz andhere mein damakte ruKHsar

saf bistar ke ujale mein chamakte gesu

jhilmilate rahe wo KHwab jo pure na hue

dard bedar Tapakta raha aansu aansu

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

raat phir rang pe thi uske badan ki KHushbu Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now