donon khaDe hain sanson ki bahti nadi ke pas
donoñ khaḌe haiñ sāñsoñ kī bahtī nadī ke paas
yā'nī ki ham haiñ pyaas liye zindagī ke paas
is raat meñ bhī donoñ kī parchhā.iyāñ dikhīñ
ham tum mile haiñ aaj bhī ik raushnī ke paas
baiThe haiñ donoñ āñkhoñ meñ āñkheñ liye hue
itnī ḳhushī kahāñ hai yahāñ har kisī ke paas
āñkhoñ se niiñd lāpata paañv meñ hai safar
fursat nahīñ hai shahr meñ ab aadmī ke paas
shāyad hamāre dil ko bhī ārām mil sake
ham chalte chalte aa ga.e haiñ shā'irī ke paas
donon khaDe hain sanson ki bahti nadi ke pas
ya'ni ki hum hain pyas liye zindagi ke pas
is raat mein bhi donon ki parchhaiyan dikhin
hum tum mile hain aaj bhi ek raushni ke pas
baiThe hain donon aankhon mein aankhen liye hue
itni KHushi kahan hai yahan har kisi ke pas
aankhon se nind lapata panw mein hai safar
fursat nahin hai shahr mein ab aadmi ke pas
shayad hamare dil ko bhi aaram mil sake
hum chalte chalte aa gae hain sha'iri ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.