Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

Saghar Siddiqui

rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

Saghar Siddiqui

rūdād-e-mohabbat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

do din masarrat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

jab jaam diyā thā saaqī ne jab daur chalā thā mahfil meñ

ik hosh saa.at kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

ab vaqt ke nāzuk hoñToñ par majrūh tarannum raqsāñ hai

bedād-e-mashiyyat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

ehsās ke mai-ḳhāne meñ kahāñ ab fikr-o-nazar qindīleñ

ālām shiddat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

kuchh haal ke andhe sāthī the kuchh maazī ke ayyār sajan

ahbāb chāhat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

kāñToñ se bharā hai dāman-e-dil shabnam se sulagtī haiñ palkeñ

phūloñ saḳhāvat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

ab apnī haqīqat bhī 'sāġhar' be-rabt kahānī lagtī hai

duniyā haqīqat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e

rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

do din ki masarrat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein

ek hosh ki saat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

ab waqt ke nazuk honTon par majruh tarannum raqsan hai

bedad-e-mashiyyat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

ehsas ke mai-KHane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qindilen

aalam ki shiddat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

kuchh haal ke andhe sathi the kuchh mazi ke ayyar sajan

ahbab ki chahat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

kanTon se bhara hai daman-e-dil shabnam se sulagti hain palken

phulon ki saKHawat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

ab apni haqiqat bhi 'saghar' be-rabt kahani lagti hai

duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

Fahad Husain

SAGAR SIDDIQUI - ROODAD E MOHABBAT KYA KAHIYE Fahad Husain

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now