ḳhizr ke mānind ḳhvāhāñ zindagānī kā nahīñ
ai ajal tishna maiñ us dariyā ke paanī kā nahīñ
qaid ho kar lutf 'umr-e-jāvedānī kā nahīñ
haz tumheñ ai ḳhizr apnī zindagānī kā nahīñ
mushtarī koī yahāñ jins-e-ma'ānī kā nahīñ
ek bhī gāhak matā'-e-nukta-dānī kā nahīñ
sin abhī kam hai na kholo rū-e-raushan se naqāb
aa.ina sūrat-numā husn-e-javānī kā nahīñ
kyuuñ utartā hai hamāre qulzum-e-mavvāj meñ
āshnā ai dost tū bahr-e-ma'ānī kā nahīñ
ik nazar sūrat dikhā kar kījiye mujh se hijāb
yuuñ maza ai banda-parvar lan-tarānī kā nahīñ
dīd-e-yūsuf kā faqat tālib huuñ ai bāzār-e-misr
ġham mujhe qīmat kī arzānī girānī kā nahīñ
bā-ma'ānī hai suḳhan merā samajh kar is ko dekh
ye jarīda ham-nashīñ arzhang-e-mānī kā nahīñ
dard ko ham-rāh kyuuñ laatā hai dil meñ vo ḳhadang
kyā salīqa ḳhud use rāhat-risānī kā nahīñ
dekh kar labrez-e-ḳhūñ kyā māñgte ho mujh se tum
dil hai ye sāġhar sharāb-e-arġhavānī kā nahīñ
kyuuñ hamāre dil meñ aa kar ārzūeñ phir ga.iiñ
ye sarā-e-huzn hai ghar shād-mānī kā nahīñ
aaj tū hī ai jigar sīḳh-e-nafas par ho kabāb
koī sāmāñ dard-e-dil kī mehmānī kā nahīñ
pā-barahna ho ke muusā aag lene ko baḌheñ
vādī-e-aiman hai ye sahrā shabānī kā nahīñ
rabt rakhnā ab hasīnoñ se hai 'kāmil' be-mahal
shor-o-shar ke din ga.e mausam javānī kā nahīñ
KHizr ke manind KHwahan zindagani ka nahin
ai ajal tishna main us dariya ke pani ka nahin
qaid ho kar lutf 'umr-e-jawedani ka nahin
haz tumhein ai KHizr apni zindagani ka nahin
mushtari koi yahan jins-e-ma'ani ka nahin
ek bhi gahak mata'-e-nukta-dani ka nahin
sin abhi kam hai na kholo ru-e-raushan se naqab
aaina surat-numa husn-e-jawani ka nahin
kyun utarta hai hamare qulzum-e-mawwaj mein
aashna ai dost tu bahr-e-ma'ani ka nahin
ek nazar surat dikha kar kijiye mujh se hijab
yun maza ai banda-parwar lan-tarani ka nahin
did-e-yusuf ka faqat talib hun ai bazar-e-misr
gham mujhe qimat ki arzani girani ka nahin
ba-ma'ani hai suKHan mera samajh kar is ko dekh
ye jarida ham-nashin arzhang-e-mani ka nahin
dard ko ham-rah kyun lata hai dil mein wo KHadang
kya saliqa KHud use rahat-risani ka nahin
dekh kar labrez-e-KHun kya mangte ho mujh se tum
dil hai ye saghar sharab-e-arghawani ka nahin
kyun hamare dil mein aa kar aarzuen phir gain
ye sara-e-huzn hai ghar shad-mani ka nahin
aaj tu hi ai jigar siKH-e-nafas par ho kabab
koi saman dard-e-dil ki mehmani ka nahin
pa-barahna ho ke musa aag lene ko baDhen
wadi-e-aiman hai ye sahra shabani ka nahin
rabt rakhna ab hasinon se hai 'kaamil' be-mahal
shor-o-shar ke din gae mausam jawani ka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
Click on any word to get its meaning