ranj tha asiron ko baal-o-par ke jaane se
ranj thā asīroñ ko bāl-o-par ke jaane se
uḌ chale qafas le kar bū-e-gul ke aane se
ab jo kuchh guzarnā ho jaan par guzar jaa.e
jhaaḌ ke uThe dāman us ke āstāne se
ashk ab nahīñ thamte dil pe ab nahīñ qaabū
ḳhud ko aazmā baiThe mujh ko āzmāne se
muskurā.e jaatā huuñ ashk bahte jaate haiñ
ġham kā kaam letā huuñ 'aish ke tarāne se
zaḳhm aap letā huuñ lazzateñ uThātā huuñ
tujh ko yaad kartā huuñ dard ke bahāne se
raushnī ho jugnū kī jaise shabnamistāñ meñ
vo naqāb kā 'ālam us ke muskurāne se
ek ek tinke par sau shikastagī taarī
barq bhī laraztī hai mere āshiyāne se
ranj tha asiron ko baal-o-par ke jaane se
uD chale qafas le kar bu-e-gul ke aane se
ab jo kuchh guzarna ho jaan par guzar jae
jhaD ke uThe daman us ke aastane se
ashk ab nahin thamte dil pe ab nahin qabu
KHud ko aazma baiThe mujh ko aazmane se
muskurae jata hun ashk bahte jate hain
gham ka kaam leta hun 'aish ke tarane se
zaKHm aap leta hun lazzaten uThata hun
tujh ko yaad karta hun dard ke bahane se
raushni ho jugnu ki jaise shabnamistan mein
wo naqab ka 'alam us ke muskurane se
ek ek tinke par sau shikastagi tari
barq bhi larazti hai mere aashiyane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.