hasil-e-sham-o-sahar kis ko bataun kya raha
hāsil-e-shām-o-sahar kis ko batā.ūñ kyā rahā
kaun mānegā ki dariyā meñ bhī maiñ pyāsā rahā
koī ġham koī pareshānī na paas aa.ī mire
mere sar par jab talak maañ baap kā saaya rahā
kyā shikāyat manzil-e-maqsūd mil jaane ke baa'd
rahbaroñ kā saath jaisā bhī rahā achchhā rahā
muflisī meñ bhī rahā mahfūz rusvā.ī se maiñ
terī yādoñ ke sahāre 'umr-bhar tanhā rahā
mushkiloñ meñ bhī hamāre hausle TuuTe nahīñ
āñdhiyoñ meñ bhī charāġh-e-fikr-o-fan jaltā rahā
vus'at-e-kaun-o-makāñ baḳhshī thī qudrat ne mujhe
aur maiñ ik thā ki apnī zaat meñ simTā rahā
zindagī kyā chiiz hai 'āzar' samajh paa.e na ham
is mu'amme kā ḳhulāsa ho ke bhī parda rahā
hasil-e-sham-o-sahar kis ko bataun kya raha
kaun manega ki dariya mein bhi main pyasa raha
koi gham koi pareshani na pas aai mere
mere sar par jab talak man bap ka saya raha
kya shikayat manzil-e-maqsud mil jaane ke ba'd
rahbaron ka sath jaisa bhi raha achchha raha
muflisi mein bhi raha mahfuz ruswai se main
teri yaadon ke sahaare 'umr-bhar tanha raha
mushkilon mein bhi hamare hausle TuTe nahin
aandhiyon mein bhi charagh-e-fikr-o-fan jalta raha
wus'at-e-kaun-o-makan baKHshi thi qudrat ne mujhe
aur main ek tha ki apni zat mein simTa raha
zindagi kya chiz hai 'azar' samajh pae na hum
is mu'amme ka KHulasa ho ke bhi parda raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.