wo keh rahe hain ki unchi uDan band karen
vo keh rahe haiñ ki ūñchī uḌaan band kareñ
kahāñ kahāñ pe ham apnī zabān band kareñ
vo ā.inoñ ke ḳharīdār ban ke aa.e haiñ
hameñ hai hukm ki apnī dukān band kareñ
yahāñ lagān-vasūlī bhī ab sharī'at hai
ye marne jiine kī bāteñ kisān band kareñ
vo ek shor jo har pal sunā.ī detā hai
tumhī batāo ki ham apne kaan band kareñ
hameñ ḳhabar hai ye kashtī ubhar na pā.egī
huzūr aap ye jhūTe bayān band kareñ
shikār DhūñDnā ab un ke bas kī baat nahīñ
'suhail' un se ye keh do machān band kareñ
wo keh rahe hain ki unchi uDan band karen
kahan kahan pe hum apni zaban band karen
wo aainon ke KHaridar ban ke aae hain
hamein hai hukm ki apni dukan band karen
yahan lagan-wasuli bhi ab shari'at hai
ye marne jine ki baaten kisan band karen
wo ek shor jo har pal sunai deta hai
tumhi batao ki hum apne kan band karen
hamein KHabar hai ye kashti ubhar na paegi
huzur aap ye jhuTe bayan band karen
shikar DhunDna ab un ke bas ki baat nahin
'suhail' un se ye keh do machan band karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.