hujum-e-dostan jaez kahan hai
hujūm-e-dostāñ jaa.ez kahāñ hai
shumār-e-dushmanāñ jaa.ez kahāñ hai
tabassum zer-e-lab jaa.ez hai lekin
yahāñ āh-o-fuġhāñ jaa.ez kahāñ hai
sunānī hai unheñ un kī kahānī
hadīs-e-dīgarāñ jaa.ez kahāñ hai
miTā do dāġh-e-sajda bhī jabīñ se
kahīñ koī nishāñ jaa.ez kahāñ hai
qafas meñ baiTh kar ai ham-safīro
binā-e-āshiyāñ jaa.ez kahāñ hai
musalsal chalte rahnā rah-navardo
shikast-e-jism-o-jāñ jaa.ez kahāñ hai
ye jhūTī shān-o-shaukat kī numā.ish
ye tarz-e-be-amāñ jaa.ez kahāñ hai
ḳhafā ho kar na mujh se duur baiTho
mohabbat meñ gumāñ jaa.ez kahāñ hai
sadā uThtī nahīñ kū-e-nidā se
ḳhayāl-e-raftagāñ jaa.ez kahāñ hai
'azīm' achchhī nahīñ hai mai-gusārī
vaqār-e-mai-kashāñ jaa.ez kahāñ hai
hujum-e-dostan jaez kahan hai
shumar-e-dushmanan jaez kahan hai
tabassum zer-e-lab jaez hai lekin
yahan aah-o-fughan jaez kahan hai
sunani hai unhen un ki kahani
hadis-e-digaran jaez kahan hai
miTa do dagh-e-sajda bhi jabin se
kahin koi nishan jaez kahan hai
qafas mein baiTh kar ai ham-safiro
bina-e-ashiyan jaez kahan hai
musalsal chalte rahna rah-nawardo
shikast-e-jism-o-jaan jaez kahan hai
ye jhuTi shan-o-shaukat ki numaish
ye tarz-e-be-aman jaez kahan hai
KHafa ho kar na mujh se dur baiTho
mohabbat mein guman jaez kahan hai
sada uThti nahin ku-e-nida se
KHayal-e-raftagan jaez kahan hai
'azim' achchhi nahin hai mai-gusari
waqar-e-mai-kashan jaez kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.