maine koi wabaal jo paida nahin kiya
maiñ ne koī vabāl jo paidā nahīñ kiyā
us ne bhī ġhair se mirā charchā nahīñ kiyā
har shaḳhs hī ḳharīd le kauḌī ke bhaao meñ
'izzat ko is qadar kahīñ sastā nahīñ kiyā
thī ranjisheñ hazār zamāne se par kabhī
ḳhud ko kisī ke ḳhuun kā pyāsā nahīñ kiyā
nadiyoñ sī tang soch meñ kuchh log mar ga.e
sāgar sā apnī soch ko gahrā nahīñ kiyā
main ne koi wabaal jo paida nahin kiya
us ne bhi ghair se mera charcha nahin kiya
har shaKHs hi KHarid le kauDi ke bhao mein
'izzat ko is qadar kahin sasta nahin kiya
thi ranjishen hazar zamane se par kabhi
KHud ko kisi ke KHun ka pyasa nahin kiya
nadiyon si tang soch mein kuchh log mar gae
sagar sa apni soch ko gahra nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.