nam likha liya to phir karte ho hae hae kyon
naam likhā liyā to phir karte ho haa.e haa.e kyoñ
paḌhnā na thā tumheñ agar darje meñ paḌhne aa.e kyoñ
kyūñkar ham imtihān deñ so.eñge jā ke baaġh meñ
paḌhne ko aadhī raat tak koī hameñ jagā.e kyoñ
baiThe haiñ apnī seat par kaise bhagā.eñ master
aa.e haiñ de ke fees ham koī hameñ bhagā.e kyoñ
chīḳheñge ḳhuub ham yahāñ chāhe ḳhafā hoñ mehmāñ
nafrat ho jis ko shor se ghar meñ hamāre aa.e kyoñ
koī paḌosī tang ho chāhe kisī se jang ho
ghar hai ye apne baap kā koī hameñ chupā.e kyoñ
kaanā ḳhudā ne kar diyā is meñ hai apnī kyā ḳhatā
gaalī bakeñge ḳhuub ham koī hameñ chiḌā.e kyoñ
dekho to peT ban gayā āḳhir ġhubāra gas kā
khāte ho itnā gosht kyoñ piite ho itnī chaa.e kyoñ
sāthī hoñ yā asātiza aa.e kisī ko kyā maza
darje meñ koī be-mahal 'kaif' kī ġhazleñ gaa.e kyoñ
nam likha liya to phir karte ho hae hae kyon
paDhna na tha tumhein agar darje mein paDhne aae kyon
kyunkar hum imtihan den soenge ja ke bagh mein
paDhne ko aadhi raat tak koi hamein jagae kyon
baiThe hain apni seat par kaise bhagaen master
aae hain de ke fees hum koi hamein bhagae kyon
chiKHenge KHub hum yahan chahe KHafa hon mehman
nafrat ho jis ko shor se ghar mein hamare aae kyon
koi paDosi tang ho chahe kisi se jang ho
ghar hai ye apne bap ka koi hamein chupae kyon
kana KHuda ne kar diya is mein hai apni kya KHata
gali bakenge KHub hum koi hamein chiDae kyon
dekho to peT ban gaya aaKHir ghubara gas ka
khate ho itna gosht kyon pite ho itni chae kyon
sathi hon ya asatiza aae kisi ko kya maza
darje mein koi be-mahal 'kaif' ki ghazlen gae kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.