madrase ke azab ne mara
madrase ke azaab ne maarā
Teacheroñ ke itaab ne maarā
patlī patlī to yaad kar lī thiiñ
ek moTī kitāb ne maarā
imtihāñ kā shabāb are tauba
imtihāñ ke shabāb ne maarā
ḳhvāb dekhā thā paas hone kā
us mujhe jhūTe ḳhvāb ne maarā
jitne āsāñ savāl aa.e the
un ke mushkil javāb ne maarā
jis ko daddy bhī paḌh ke paas na hoñ
itne mushkil nisāb ne maarā
tum ko geometryi ne maarā hai
mujh ko zālim hisāb ne maarā
fail hone kā raaz faash kiyā
haa.e chashm-e-pur-āb ne maarā
maiñ ne maarā shahāb ko ik roz
aur mujh ko shahāb ne maarā
madrase ke azab ne mara
Teacheron ke itab ne mara
patli patli to yaad kar li thin
ek moTi kitab ne mara
imtihan ka shabab are tauba
imtihan ke shabab ne mara
KHwab dekha tha pas hone ka
us mujhe jhuTe KHwab ne mara
jitne aasan sawal aae the
un ke mushkil jawab ne mara
jis ko daddy bhi paDh ke pas na hon
itne mushkil nisab ne mara
tum ko geometryi ne mara hai
mujh ko zalim hisab ne mara
fail hone ka raaz fash kiya
hae chashm-e-pur-ab ne mara
main ne mara shahab ko ek roz
aur mujh ko shahab ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.