bachche lae anokhi titli aur nirale phul
bachche laa.e anokhī titlī aur nirāle phuul
ḳhushbū dene vaalī titlī uḌne vaale phuul
jis din gulshan meñ nafrat kī āñdhī chaltī hai
shāḳhoñ par ugne lagte haiñ kaale kaale phuul
us ke pairoñ meñ kāñTe the chhāle hāthoñ meñ
uupar se pariyoñ ne us bachche par Daale phuul
hamrā aur samra ne sālgirah par aiman kī
ḳhuub chhuḌā.ī ātish-bāzī ḳhuub uchhāle phuul
merī god meñ potī hai to potā kandhe par
jaise jhilmil jhilmil jugnū bhole-bhāle phuul
lafzoñ ke is jādūgar ke pyāre pyāre sher
angāre dāman meñ rakkhe aur nikāle phuul
bachche lae anokhi titli aur nirale phul
KHushbu dene wali titli uDne wale phul
jis din gulshan mein nafrat ki aandhi chalti hai
shaKHon par ugne lagte hain kale kale phul
us ke pairon mein kanTe the chhaale hathon mein
upar se pariyon ne us bachche par Dale phul
hamra aur samra ne salgirah par aiman ki
KHub chhuDai aatish-bazi KHub uchhaale phul
meri god mein poti hai to pota kandhe par
jaise jhilmil jhilmil jugnu bhole-bhaale phul
lafzon ke is jadugar ke pyare pyare sher
angare daman mein rakkhe aur nikale phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.