arz jo kuchh meri zabani hai
'arz jo kuchh merī zabānī hai
āp-bītī nahīñ kahānī hai
jis ne muñh madrase kā dekh liyā
zindagī meñ vo āñ-jahānī hai
raah maktab kī bhūlne ke liye
ḳhaak ik ik galī kī chhānī hai
paḌhne likhne meñ jī nahīñ lagtā
maar khāne kī ye nishānī hai
ḳhaak paḌhiye jo ho ġhizā aisī
bhaat kankar hai daal paanī hai
jaur-e-ustād hai na mahr-e-pidar
kis qayāmat kī ye girānī hai
har juma gōd-friday hai mirā
raat bhī us kī kyā suhānī hai
paar huuñ imtihāñ ke dariyā se
naav kāġhaz kī yuuñ chalānī hai
phir bhalā ham kahāñ kahāñ masjid
ye namāz apnī imtihānī hai
ye ġhazal ḳhuub hai 'jalāl' miyāñ
kyā salāsat hai kyā ravānī hai
lakhnavī ye jalāl garche nahīñ
kākvī ye jalāl-e-sānī hai
'arz jo kuchh meri zabani hai
aap-biti nahin kahani hai
jis ne munh madrase ka dekh liya
zindagi mein wo aan-jahani hai
rah maktab ki bhulne ke liye
KHak ek ek gali ki chhani hai
paDhne likhne mein ji nahin lagta
mar khane ki ye nishani hai
KHak paDhiye jo ho ghiza aisi
bhat kankar hai dal pani hai
jaur-e-ustad hai na mahr-e-pidar
kis qayamat ki ye girani hai
har juma good-friday hai mera
raat bhi us ki kya suhani hai
par hun imtihan ke dariya se
naw kaghaz ki yun chalani hai
phir bhala hum kahan kahan masjid
ye namaz apni imtihani hai
ye ghazal KHub hai 'jalal' miyan
kya salasat hai kya rawani hai
lakhnawi ye jalal garche nahin
kakwi ye jalal-e-sani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.