ho gai kaise phul si main bhi
ho ga.ī kaise phuul sī maiñ bhī
us ko chhū kar mahak ga.ī maiñ bhī
daad is par ki phuul hote hue
kaise patthar banī rahī maiñ bhī
pahle āñkhoñ meñ 'aks thā us kā
ab to dikhtā hai shā'irī meñ bhī
vo bhī iqrār kar nahīñ paayā
pūchhne par mukar ga.ī maiñ bhī
chhū ke guzrī hai kaisī shoḳh havā
khilkhilāne lagī kalī maiñ bhī
ho gai kaise phul si main bhi
us ko chhu kar mahak gai main bhi
dad is par ki phul hote hue
kaise patthar bani rahi main bhi
pahle aankhon mein 'aks tha us ka
ab to dikhta hai sha'iri mein bhi
wo bhi iqrar kar nahin paya
puchhne par mukar gai main bhi
chhu ke guzri hai kaisi shoKH hawa
khilkhilane lagi kali main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.