phir mujhse chhupe kis liye afzaish-e-duniya
phir mujh se chhupe kis liye afzā.ish-e-duniyā
hāthoñ meñ huī hai mire paidā.ish-e-duniyā
darvesh kī 'ādāt meñ ik ye bhī hai shāmil
puurī nahīñ kartā kabhī farmā.ish-e-duniyā
koshish to bahut kī tire dastūr ne lekin
niklī nahīñ dil meñ mire gunjā.ish-e-duniyā
do haath ziyāda hai zamīñ asl se apnī
lagtā hai ġhalat kī ga.ī paimā.ish-e-duniyā
ham us ke ishāroñ ko samajhte nahīñ kyuuñ kar
kartā hai vo har moḌ pe fahmā.ish-e-duniyā
maiñ jab se taḳhayyul meñ safar karne lagā huuñ
kam paḌne lagī hai mujhe gunjā.ish-e-duniyā
un valiyoñ meñ shāmil hai mirā naam bhī 'āzar'
vo jin ko mayassar nahīñ āsā.ish-e-duniyā
phir mujh se chhupe kis liye afzaish-e-duniya
hathon mein hui hai mere paidaish-e-duniya
darwesh ki 'adat mein ek ye bhi hai shamil
puri nahin karta kabhi farmaish-e-duniya
koshish to bahut ki tere dastur ne lekin
nikli nahin dil mein mere gunjaish-e-duniya
do hath ziyaada hai zamin asl se apni
lagta hai ghalat ki gai paimaish-e-duniya
hum us ke ishaaron ko samajhte nahin kyun kar
karta hai wo har moD pe fahmaish-e-duniya
main jab se taKHayyul mein safar karne laga hun
kam paDne lagi hai mujhe gunjaish-e-duniya
un waliyon mein shamil hai mera nam bhi 'azar'
wo jin ko mayassar nahin aasaish-e-duniya
Sooraj Mukhi Ka Phool
Buy This BookAdditional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.