Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir KHabar is fasl mein yaro bahaar aane ki hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

phir KHabar is fasl mein yaro bahaar aane ki hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

phir ḳhabar is fasl meñ yaaro bahār aane hai

ab ba-juz zanjīr kyā tadbīr dīvāne hai

ḳhaak kar deve jalā kar pahle phir Tisve bahā.e

sham.a majlis meñ baḌī dil-soz parvāne hai

bhed zulfoñ bayāñ karne meñ ho jaatā hai guñg

varna kahne ko jo pūchho sau zabāñ shāne hai

shaiḳh us chashm ke goshe se goshe ho kahīñ

us taraf mat jaao nādāñ raah mai-ḳhāne hai

hausla tañgī kare hai shahr ke kūche haiñ tañg

ab havas dil meñ hamāre sair vīrāne hai

chāhiye kyā baat kahte ho jahāñ meñ qatl-e-ām

der muñh se ab tumhāre hukm farmāne hai

meñ aatā hai ki 'hātim' aaj us ko chheḌiye

muddatoñ se dil meñ hasrat gāliyāñ khāne hai

phir KHabar is fasl mein yaro bahaar aane ki hai

ab ba-juz zanjir kya tadbir diwane ki hai

KHak kar dewe jala kar pahle phir Tiswe bahae

shama majlis mein baDi dil-soz parwane ki hai

bhed zulfon ka bayan karne mein ho jata hai gung

warna kahne ko jo puchho sau zaban shane ki hai

shaiKH us ki chashm ke goshe se goshe ho kahin

us taraf mat jao nadan rah mai-KHane ki hai

hausla tangi kare hai shahr ke kuche hain tang

ab hawas dil mein hamare sair virane ki hai

chahiye kya baat kahte ho jahan mein qatl-e-am

der munh se ab tumhaare hukm farmane ki hai

ji mein aata hai ki 'hatim' aaj us ko chheDiye

muddaton se dil mein hasrat galiyan khane ki hai

Source :
  • Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 310)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now