Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phaile hue hain shahr mein sae niDhaal se

Adil Mansuri

phaile hue hain shahr mein sae niDhaal se

Adil Mansuri

phaile hue haiñ shahr meñ saa.e niDhāl se

jaa.eñ kahāñ nikal ke ḳhayāloñ ke jaal se

mashriq se merā rāsta maġhrib samt thā

us safar junūb jānib shumāl se

kaisā bhī talḳh zikr ho kaisī bhī tursh baat

un samajh meñ aa.egī gul misāl se

chup-chāp baiThe rahte haiñ kuchh bolte nahīñ

bachche bigaḌ ga.e haiñ bahut dekh-bhāl se

rañgoñ ko bahte dekhiye kamre ke farsh par

kirnoñ ke vaar rokiye shīshe Dhaal se

āñkhoñ meñ āñsuoñ kahīñ naam tak nahīñ

ab juute saaf kījiye un ke rumāl se

chehra bujhā bujhā pareshān zulf zulf

allāh dushmanoñ ko bachā.e vabāl se

phir pāniyoñ meñ nuqra.ī saa.e utar ga.e

phir raat jagmagā uThī chāñdī ke thaal se

phaile hue hain shahr mein sae niDhaal se

jaen kahan nikal ke KHayalon ke jal se

mashriq se mera rasta maghrib ki samt tha

us ka safar junub ki jaanib shumal se

kaisa bhi talKH zikr ho kaisi bhi tursh baat

un ki samajh mein aaegi gul ki misal se

chup-chap baiThe rahte hain kuchh bolte nahin

bachche bigaD gae hain bahut dekh-bhaal se

rangon ko bahte dekhiye kamre ke farsh par

kirnon ke war rokiye shishe ki Dhaal se

aankhon mein aansuon ka kahin nam tak nahin

ab jute saf kijiye un ke rumal se

chehra bujha bujha sa pareshan zulf zulf

allah dushmanon ko bachae wabaal se

phir paniyon mein nuqrai sae utar gae

phir raat jagmaga uThi chandi ke thaal se

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now